Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Khwaja Abu Ahmed Abdal Chishti

 

Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Abu Ahmed Abdal  Chishti Rahmatullah Alayh 6 Ramadaan 260 Hijri ko peda hue. Aap ke waalid Syed Ibrahim Farghanah ke Sultan thay. Aap Hasna Hussaini Sadat e Azaim mein se thay aur Hazrat Khwaja Abu Ishq Shami Rahmatullah Alayh ke khalifa akbar thay. Aap Rahmatullah Alayh ka laqab Qadwah al Deen tha. Aap Rahmatullah Alayh jamal e zahiri o baatini ke paiker thay. Aap Rahmatullah Alayh frmanrwaye Farghanah ke betay thay aap Rahmatullah Alayh ka nasb chand wastoon se Hazrat Hassn Masana  Razi AllahTala Anhu se milta hai .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Bairooni hamla awaron ki wajah se yeh mazraat ab khandraat mein tabdeel ho chuke hain

Aap ka nasb nama yun hai :

Hazrat Abu Ahmed Abdal Chishti bin Sultan Farghanah Syed Ibrahim Rahmatullah Alayh bin Syed Yahya Bin Syed Haasn Rahmatullah Alayh bin Syed Mujid al Maali almaroof  abu al Maali bin Syed Nasir al Deen Rahmatullah Alayh  bin Syed Abdul Salam Rahmatullah Alayh bin Syed Hasan Masna Razi AllahTala Anhu  bin Syed Imam Hasan Razi AllahTala Anhu Bin Ali Ibn abi Taalib Karam Allah Wajhu.

Sultan Farghanah Syed Ibrahim ki aik behan thi jo Walia aur Saleha khatoon thi. Hazrat Abu Ishaq Rahmatullah Alayh basa auqaat un ke ghar jatay aur khana bhi khatay thay. Aik din aap ne usay bataya kay tumahray bhai ko Allah Taala aik beta day ga. Tum is ki parwarish karna aur koi mashkook khoraak is ke pait mein nah jane dena. Chunancha woh aap ki khoraak ki nigrani karne lagen .

Hazrat Abu Ahmed Abdal Rahmatullah Alayh ke walid Sultan e  Farghanah Syed Ibrahim aik sharaab khanaay ke maalik thay. Hazrat Abu Ahmed Abdal Rahmatullah Alayh bachpan mein aik din sharaab khanaay gaye. Andar se darwaaza band kar liya aur sharaab ke tamam matkey  toar daaley. Sultan Farghanah Syed Ibrahim chhat par kharray thay. Bachay ki is harkat ko dekha to nihayat gussa se chalaye aur aik pathar utha kar day mara. Yeh pathar Hazrat Abu Ahmed Abdal  Chishti Rahmatullah Alayh ke qareeb ja kar howa mein muallaq ho gaya. Sultan yeh dekh kar haraan reh gaya. Woh foran sharaab khanaay mein aaya aur apne betay ko goad mein utha liya. Is waqea ke baad Sultan Farghanah Syed Ibrahim ne Allah Taala se maffi mangi aur sharaab noshi se taoba ki. Yeh waqea 270Hijri mein paish aaya .

Jab Hazrat Abu Ahmed Abdal  Chishti Rahmatullah Alayh  ki Umar saat baras hui to aap Hazrat Abu Ishaq Rahmatullah Alayh  ki khidmat mein haazir hue aur zahiri o baatini taleem haasil ki. Aap solah saal ki Umar mein zahiri aloom se farigh hue to Hazrat Abu Ishaq Rahmatullah Alayh  ne aap ko baet kar liya .

Hazrat Abu Ahmed Abdal Rahmatullah Alayh barray abid o zahid thay. Pairo murshid ne aap ko baet karne ke baad aik khalwat kadde mein mjahde par laga diya tha. Chunancha aap saat din baad khana tanawal farmatay lekin teen laqmon  se ziyada kabhi nah khatay aur chalees dinon baad hajat e bashri ke liye bahar nikaltay. Aath saal ki mehnat shaqeh ke baad Khirqah khilafat marhamat howa .

Aap ki karamaat ki shohrat mashriq o maghrib mein phaily to ulma ko aap se hasad honay laga. Aap ki majlis Samaa ke khilaaf fatwa baazi honay lagi aur ulama ne aik mahzar nama tayyar kar kay haakim e waqt Ameer Naseer ko paish kya. Ameer ne mulik bhar ke ulama ki majlis bulai jis mein kayi hazaar ulama jama hue Khwaja Abu Ahmed Rahmatullah Alayh  ko bhi is majlis mein paish kya gaya aap ke sath aik khadim Mohammad Khuda Banda bhi tha jis ko Quran Hakeem mein se surah Fatiha aur surah Ikhlaas ke ilawa kuch bhi yaad nah tha. Jab aap apne khadim ke hamrah Ameer Naseer ki bulai hui majlis e ulama mein puhanche to ulama jo pehlay se yeh tay kiye baithy thay kay Khwaja Abu Ahmed Rahmatullah Alayh  ayen ge to ulama mein se koi bhi nah to un ka istaqbaal kare ga aur nah hi unki izzat afzai ki jaye gi .

Jab aap tashreef  laaye to sab be sakhta o be iradah aap ki tazeem ke liye uth  kharray hue' istaqbaal kar ke majlis mein aik buland o numaya masnad par bithaya aur masla Samaa par guftagu shuru kar di. Jab ulama apna nuqta e nazar bayan kar chuke to aap Rahmatullah Alayh ne apne khadim Mohammad Khuda Banda ko ishara farmaya kay un ulmaye karaam ke aitrazaat ke jawabaat doo woh khadim un parh aur jaahil tha lekin aik nigah karam se is par ilm ke darwazay khultay chalay gaye aur woh nihayat Fasih o Baleegh andaaz mein Quran o Hadees se ulmaye karaam ke aitrazaat ka jawab dainay laga aur buzurgaan salf  ke tareeqa ko bhi bayan karne laga. Ulmaye karaam is khadim ke jawabaat sun kar dang reh gaye aur baaz to sharmindagi se baithy rahay .

Hazrat Abu Ahmed Abdal  Chishti yakam Jamadi al Sani 355Hijri ko is daar e faani se rukhsat hue